jang jari hai KHandanon mein

jang jari hai khandanon mein
ghair mahfuz hun makanon mein

lafz pathra gae hain honton par
log kya kah gae hain kanon mein

raat ghar mein thi sar-phiri aandhi
sirf kante hain phul-danon mein

mabadon ki khabar nahin mujh ko
khairiyat hai sharab-khanon mein

ab sipar dhund koi apne liye
tir kam rah gae kamanon mein

nakhuda kya khuda rakhe mahfuz
wo hawaen hain baadbanon mein

dal chunane mein hath aaenge
jitne kankar hain kar-khanon mein

dhundta phir raha hun khali hath
jaane kya chiz un dukanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close