jang se jangal bana jangal se main nikla nahin

jang se jangal bana jangal se main nikla nahin
ho gaya ojhal magar ojhal se main nikla nahin

dawat-e-uftad rakkhi chhal se main nikla nahin
nikle bhi kas-bal magar kas-bal se main nikla nahin

dekhte rahna tera mashur chhat par kar gaya
is qadar barish hui jal-thal se main nikla nahin

jaise tu hi to ho meri nind se lipta hua
jaise tere khwab ke makhmal se main nikla nahin

dekhne walon ko shahr-e-khwab sa dikhta hun main
jaise tere surmai baadal se main nikla nahin

dekh suraj aa gaya sar par mujhe aawaz de
phul sa ab tak teri konpal se main nikla nahin

shab jo aiman rag mein dubi sahar thi bhairawi
tewari chadhti rahi komal se main nikla nahin

tera pallu ek jhatke se gaya go hath se
aanch lipti hai ki jun aanchal se main nikla nahin

apne markaz ki mahak chaaron taraf bikhrai hai
phadphada kar bhi tere sandal se main nikla nahin

taba ki pechidgi shayad meri pahchan ho
yun na ho ho mustaqil jis bal se main nikla nahin

nam likkha tha mera main ne to apnana hi tha
ek lamhe ke liye bhi pul se main nikla nahin

yun laga jaise kabhi main dahr ka hissa na tha
baat itni hai ki bahar kal se main nikla nahin

hausle jaise dubo dale hain is pardes ne
richh nikla naddi se kambal se main nikla nahin

main ne koi aatma an-chahi aane hi na di
kaise kah dun apni hi daldal se main nikla nahin

is ke hote ek shab raushan hua jal par 'nawed'
chal diya wo to kabhi ka jal se main nikla nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close