jarahaton ki mahak hai faza ke daman mein hazar phul khile hain saba ke daman mein hai aaj shiddat-e-ehsas-e-na-rasai kyon gudaz dil to bahut hai dua ke daman mein jahan-e-ah-o-fughan bhi hai aab-gil-naghma fusun-e-koh-e-nida hai sada ke daman mein gaya wo qafila-e-nau-bahaar bhi lekin wahi hai zauq-e-safar naqsh-e-pa ke daman mein wahi jo tair-e-aflak-ashiyan tha kabhi tadap raha hai wo bim-o-raja ke daman mein