jata hai kaun aap se jallad ki taraf khincha is aab-o-dana ne sayyaad ki taraf na-khush hai aashiqon se bahut aaj-kal wo shokh badle karam ke taba hai bedad ki taraf mashshata jazb-e-dil sa koi dusra nahin shirin ko khinch le gaya farhad ki taraf ishq-e-butan hai khwab-e-faramosh ai khuda aaya hai phir khayal teri yaad ki taraf deti nahin nazakat use hukm qatl ka jata hun daud daud ke jallad ki taraf aata hai qadd-e-yar chaman mein mujhe jo yaad hairat se takne lagta hun shamshad ki taraf ye kya sabab hai kafir-o-din-dar sab hue yarab usi but-e-sitam-ijad ki taraf 'ajiz' chhudae bakht agar qaid-e-zist se aaun kabhi na aalam-e-ijad ki taraf