jawani mein nazar ko tabe-e-ahkaam hone do

jawani mein nazar ko tabe-e-ahkaam hone do
ye uth jae jidhar us samt qatl-e-am hone do

adaon ko sharik-e-gardish-e-ayyam hone do
jawani mein kisi ki hashr ka hangam hone do

nazar ke sath ho jaega qaem daur-e-mai-khana
zara gardish mein chashm-e-saqi-e-gulfam hone do

nazar aa jaega duniya ko barq-o-tur ka aalam
dam-e-didar be-khud mujh ko zer-e-baam hone do

na hum dil ko chhupaen aur na tum phero nigahon ko
hum apna kaam hone den tum apna kaam hone do

khuda malum le jae kahan zauq-e-talab mujh ko
abhi to be-khudi-e-shauq ka anjam hone do

kami hai marne walon ki na qatil ki zamane mein
kisi ki har ada kahti hai qatl-e-am hone do

khuda walo na roko mujh ko mere zauq-e-isyan se
mujhe roz-e-qayamat morid-e-ilzam hone do

abhi kuchh gardishen baqi hain jam-e-zist ki 'afqar'
abhi kuchh der shaghl-e-baada-e-gulfam hone do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close