jazb hone bhi na pae the hamare aansu yaad phir aa gae bhule se tumhaare aansu ban hi jate kabhi hasti ke sahaare aansu hae ruk hi na sake hum se hamare aansu meri aankhon mein rahe wo to khatakte hi rahe un ke daman pe bane chand-sitare aansu tutti hai dil-e-gham-ghin pe qayamat kya kya aa ke palkon pe jo rukte hain hamare aansu ye na hote to qayamat tha sahar tak jina mere pyare meri raaton ke sahaare aansu azmat-e-ishq hai pabandi-e-zabt-e-furqat yani tauhin-e-mohabbat hain hamare aansu ek aansu na bahaun gham-e-duniya ke liye gham-e-jaanan ke liye hain mere sare aansu wo bhi kya saat-e-rangin thi ki jab ai 'maikash' un ke aanchal mein hue jazb hamare aansu