jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai ghungruon ki jaanib-e-dar kuchh sada aai to hai ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai par karun kya ab tabiat aap par aai to hai aap ke sar ki qasam mere siwa koi nahin be-takalluf aaiye kamre mein tanhai to hai jab kaha main ne tadapta hai bahut ab dil mera hans ke farmaya tadapta hoga saudai to hai dekhiye hoti hai kab rahi su-e-mulk-e-adam khana-e-tan se hamari ruh ghabrai to hai dil dhadakta hai mera lun bosa-e-rukh ya na lun nind mein us ne dulai munh se sarkai to hai dekhiye lab tak nahin aati gul-e-ariz ki yaad sair-e-gulshan se tabiat hum ne bahlai to hai main bala mein kyun phansun diwana ban kar us ke sath dil ko wahshat ho to ho kambakht saudai to hai khak mein dil ko milaya jalwa-e-raftar se kyun na ho ai naujawan ek shan-e-ranai to hai yun murawwat se tumhaare samne chup ho rahen kal ke jalson ki magar hum ne khabar pai to hai baada-e-gul-rang ka saghar inayat kar mujhe saqiya takhir kya hai ab ghata chhai to hai jis ki ulfat par bada dawa tha kal 'akbar' tumhein aaj hum ja kar use dekh aae harjai to hai