jazba ghairat ka khamida nahin hone deta bojh itna hai ki sidha nahin hone deta shart itni hai gunahgar pasheman ho jae wo khata-posh hai ruswa nahin hone deta khol deta hai phir ummid ki khidki koi mujh ko mahrum-e-tamanna nahin hone deta buzdili kuchh bhi anokha nahin karne deti khauf-e-nakaami karishma nahin hone deta sanp ne aisa jamaya hai shajar par qabza panchhiyon ka bhi basera nahin hone deta zehn-o-dil donon mein rakhta hun bana kar 'wasiq' ghar ke andar koi jhagda nahin hone deta