jhankar hai maujon ki bahte hue pani se zanjir machal jae qadmon ki rawani se ek mauj-e-saba bhejun afkar ke zindan ko jo lafz chhuda lae pur-pech maani se kitni hai padi mushkil din phirte hain aakhir mein main ne ye sabaq sikha bachchon ki kahani se tafsil se likkha tha jab nama mohabbat ka 'ghaalib' ko gharaz kya thi paigham-e-zabani se ji karta hai mar jaen ab laut ke ghar jaen jannat ka khayal aae gandum ki girani se khushbu ko udane mein ye raat ki chori kyun puchhe to koi ja kar us raat ki rani se kis darja munafiq hain sab ahl-e-hawas 'saqib' andar se to patthar hain aur lagte hain pani se