jhapatte hain jhapatne ke liye parwaz karte hain kabutar bhi wahi karne lage jo baz karte hain wahi qisse wahi baaten ki jo ghammaz karte hain tere hamraaz karte hain mere dam-saz karte hain ba-sad hile bahane zulm ka dar baz karte hain wahi jaan-baz jin par har ghadi hum naz karte hain ziyaada dekhte hain jab wo aankhen pher lete hain nazar mein rakh rahe hon to nazar-andaz karte hain sataish-ghar ke pankhon se hawa to kam hi aati hai magar chalte hain jab zalim bahut aawaz karte hain zamane bhar ko apna raaz-dan karne ki thahri hai to behtar hai chalo us shokh ko hamraaz karte hain daraata hai bahut anjam-e-namrudi mujhe 'khalid' khuda lahje mein jab bande sukhan aaghaz karte hain