jhum kar aaj jo matwali ghata aai hai yaad kya kya teri mastana ada aai hai aise nazuk kabhi paband-e-hina hote hain hath dho dale hain rangat jo zara aai hai tum bhi rukhsar pe zulfon ko zara bikhra do kali kali sar-e-gulzar ghata aai hai husn-e-akhlaq bhi hai husn-e-jawani ki tarah jhuk gai hain teri aankhen jo haya aai hai hae wo khol ke juda ye kisi ka kahna aaiye so rahen ab raat siwa aai hai sach hai tum ne jo lagaya nahin munh ghunchon ko unhen phir kis ke tabassum ki ada aai hai kis ka dil khun nahin hai chaman-e-alam mein patti patti se hamein bu-e-wafa aai hai raat bhar girya-e-shabnam se jo ghunche the udas subh hote hi hansane ko saba aai hai sher-khwani pe teri sab ko guman hai ki 'jalil' bazm mein ruh-e-amir-usshuara aai hai