jhuT ko sach to mere yar bana sakta hai

jhut ko sach to mere yar bana sakta hai
ye hunar sun tujhe sardar bana sakta hai

tujh ko bhi haq hai siyasat mein chale jaane ka
tu agar ret ki diwar bana sakta hai

ye naya daur-e-taraqqi hai yahan sikkon se
koi khirqa koi dastar bana sakta hai

mukhtalif rog ki bas ek dawa de de kar
ye masiha hamein bimar bana sakta hai

zoam sajdon ka jabin par na sajae phiriye
ye takabbur bhi gunahgar bana sakta hai

hosh walon mein ye charcha bhi bahut aam hua
mujh ko pagal bhi mera yar bana sakta hai

dal kar khwab nae adh-khuli aankho mein yahan
shoabada-baz bhi sarkar bana sakta hai

bojh ho teri ana par jo sahaara 'danish'
wo sahaara tujhe lachaar bana sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close