jhuTa hai jaanta hun magar is ke bawajud

jhuta hai jaanta hun magar is ke bawajud
raunaq lagae rakhta hai ek khwab ka wajud

us ne kitab khol ke rakh di hai shelf mein
meri qaba-e-wasl ko kab mil saka wajud

is baat se hi dekh len qurbat hamare beach
pahna hai main ne ruh pe us shakhs ka wajud

phir main karun na naz kyun apni badai par
yazdan ne apne hath se sincha mera wajud

us mein har ek baat hai par bolta nahin
paya hai mere yar ne taswir sa wajud

kaise karega samna duniya ka ab kamal
zillat ki gahri khai mein phenka gaya wajud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close