ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se

ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se
phod lun sar na kahin jism ki diwaron se

apne riste hue zakhmon pe chhidak leta hun
rakh jhadti hai jo ehsas ke angaron se

git gaun to lapak jate hain shoale dil mein
saz chhedun to nikalta hai dhuan taron se

kasa-e-sar liye phirti hain wafaen ab bhi
ab bhi teshon ki sada aati hai kohsaron se

zinda lashen bhi dukanon mein saji hain shayad
bu-e-khun aati hai khulte hue bazaron se

kya mere aks mein chhup jaenge un ke chehre
itna puchhe koi un aaina-bardaron se

pyar har-chand jhalakta hai un aankhon se magar
zakhm bharte hain 'muzaffar' kahin talwaron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close