ji leti hai wo zulf-e-siyah-fam hamara bujhta hai charagh aaj sar-e-sham hamara aisa koi gumnam zamane mein na hoga gum ho wo nagin jis pe khude nam hamara awwal to na qasid ko rahe ku-e-sanam yaad pahunche to faramosh ho paigham hamara hum go ki hain diwane magar gharq-e-yam-e-ashk yunan ke manind hua nam hamara mai pai na pine ko to hum pi gae aansu ashkon se bhi saqi na bhara jam hamara kabe mein bhi wahshat ki rahi dast-daraazi sad-chaak kiya jama-e-ehram hamara tifli mein thi ek daya hain ab chaar ke kandhe aaghaz se kya khub hai anjam hamara ik-adh rahe jism-e-mushabbak mein tera tir khali na kabhi said se ho dam hamara kaam auron ke jari rahen nakaam rahen hum ab aap ki sarkar mein kya kaam hamara 'nasikh' kahen jald aa ke kahen qasid-e-jaanan khat lijiye dilwaiye inam hamara