jiddaten dekhiye sahra mein bhi diwanon ki

jiddaten dekhiye sahra mein bhi diwanon ki
roz ek waza badalte hain garebanon ki

be-rukhi dekhiye khinchte hue paikanon ki
bastiyan lute liye jate hain armanon ki

aaj hum roe bahut dekh ke taswir-e-bahaar
yaad taza hui bhule hue afsanon ki

kijiye sal-girah fasl-e-bahaar aa pahunchi
bediyan phir se badalwaiye diwanon ki

mana karte the gire aankh se kyon ashk-e-'rashid'
aabru khoi chhalakte hue paimanon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close