jidhar se tir chala koi mehrban nikla

jidhar se tir chala koi mehrban nikla
tawaqquat se badh kar wo mezban nikla

samar se pahle shajar kat kar jala dale
ki jald-baz bahut ab ke baghban nikla

ajib rang hua ab ke meri nagri ka
ki jo bhi shahr mein nikla wo be-aman nikla

ye kis azab ne basti ko meri gher liya
ki chulhe sard rahe yan magar dhuan nikla

sawal ye hai sabab kis se qatl ka puchhen
ki jis ne qatl kiya wo hi be-zaban nikla

hamare baad bhi kya zeb-e-dar hoga koi
yahi sawal mera zeb-e-dastan nikla

hum apni aql ko ilzam den ki qismat ko
hamare daur mein rahzan bhi pasban nikla

jabin jhuki to zamin uth ke aajizi se mili
jo sar utha to bahut dur aasman nikla

rahe hain hum to 'karamat' gae dinon ke naqib
ki hum se ahd naya sakht bad-guman nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close