jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta

jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta
labaalab apne lahu ka piyala kya karta

mila na sarw ko kuchh apni rasti mein phal
kulah kaj jo na karta to lala kya karta

jarida mein rah-e-pur-khun-e-ishq se guzra
jaras se qafile mein bahs-e-nala kya karta

junun-e-ishq mein rahna tha imtiyaz na kuchh
chakor tauq-e-gulu mah ka haala kya karta

bacha kiya use toda jo sar se dariya ke
habab le ke ye khali piyala kya karta

na khaya ghussa kabhi khwanche se qismat ke
phanse jo halq mein main wo niwala kya karta

bala-e-bad hui daghon se sardi-e-kafur
suluk nek zaraat se zhaala kya karta

diya nawishta na us but ko dil ke tude mein
khuda ke ghar ka bhala main qabaala kya karta

safa hua na riyazat se nafs-e-ammara
koi najasat-e-sag ka izala kya karta

lagi hai aag jo kambal kabhi udaya hai
tere barahna se garmi do-shaala kya karta

na karti aql agar muft aasman ki sair
koi ye sath waraq ka risala kya karta

meri taraf jo unhen khinchti kashish dil ki
buton ko brahmanon ka hawala kya karta

kisi ne mol na puchha dil-e-shikasta ka
koi kharid ke tuta piyala kya karta

urus-e-dahr se bu-e-wafa nahin aati
bhala jigar ka main us ke izala kya karta

mah-e-do-hafta bhi hota to lutf tha 'atish'
akele pi ke sharab-e-do-sala kya karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close