jin ka kirdar sahifon ki tarah hota hai

jin ka kirdar sahifon ki tarah hota hai
tazkira un ka hadison ki tarah hota hai

shab-e-furqat teri aankhon se chhalakta hua dard
phul par os ke qatron ki tarah hota hai

wadi-e-fikr mein bikhra hua harfon ka wajud
dast-e-qirtas pe chhaalon ki tarah hota hai

ruthna aur machalna kabhi gum-sum rahna
aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai

tutti raaton ka bikhra hua sannata bhi
dasht mein udte bagulon ki tarah hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close