jin mein kuchh lutf aur andaz-e-karam bhi kuchh hain

jin mein kuchh lutf aur andaz-e-karam bhi kuchh hain
tum hi insaf se kah do sitam bhi kuchh hain

naz tum ko hai jafa par to wafa par hum ko
tum agar kuchh ho meri jaan to hum bhi kuchh hain

un ka ye qaul mere marne se kya hota hai
mujh ko dawa hai mere dida-e-nam bhi kuchh hain

jis ko dekho hai wahi banda-e-be-dam un ka
ai khuda teri khudai mein sanam bhi kuchh hain

hai abhi rah se guzra koi mana lekin
baat hi baat hai ya naqsh-e-qadam bhi kuchh hain

charkh ke daur mein yaksan nahin rahta koi
rahaten thin jinhen kal tak unhen gham bhi kuchh hain

turfa-tar hai tere maqtal ka tamasha qatil
kuchh tadapte hain tah-e-tegh-e-do-dam bhi kuchh hain

khana-e-dil mein mere daulat-e-ulfat ke siwa
dagh-ha-e-shab-e-furqat ke diram bhi kuchh hain

kuchh nahin kuchh nahin ai hazrat-e-'sabir' wo log
apne dil mein jo samajhte hain ki hum bhi kuchh hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close