jin se gham intiha ke milte hain un se hum muskura ke milte hain wo jo khud chal ke aa nahin pate un se hum log ja ke milte hain apna-pan uth gaya hai duniya se log daman bacha ke milte hain rah-e-raushan ke jo musafir hain sab se wo sar utha ke milte hain ahl-e-danish ki aastin mein bhi dekhiye but ana ke milte hain un se lazzat kashid karti hun dukh jo ghazlen suna ke milte hain