jina mushkil hai yahan aasan sab se KHud-kushi

jina mushkil hai yahan aasan sab se khud-kushi
is liye lagti bhali hai zindagi se khud-kushi

ishq to ab nam hai is ka tha pahle khud-kushi
ishq karne walon ko milti hai rah-e-khud-kushi

kaun deta hai kisi ko hausla yan jine ka
kah rahe ek dusre ko kar le pyare khud-kushi

ek muddat ba'd aae aaj wo mahfil mein jab
zindagi thi samne phir kaise karte khud-kushi

zindagi ke tajribe kaise mile yan par 'shakeb'
jo ki aakhir khud se ek din kar li tum ne khud-kushi

tan kisi ke pas hai to dil kisi ke sath mein
sej par baithe hue wo kar rahe hain khud-kushi

jine ki hasrat nahin rasta ya manzil bhi nahin
ji rahe hain is tarah behtar thi is se khud-kushi

qatra qatra marne se ‘madhaw’ hai behtar bas yahi
sochta hun main laga lun ab gale se khud-kushi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close