jine ka arman nahin hai

jine ka arman nahin hai
marna bhi aasan nahin hai

yaad tumhaari mere dil ki
malik hai mehman nahin hai

kaun hai apna kaun paraya
dil ko abhi pahchan nahin hai

ulfat karna sahl hai lekin
gham khana aasan nahin hai

wo rudad nahin hai meri
gham jis ka unwan nahin hai

surat se tum haal na samjhe
kahne ka ausan nahin hai

tere gham ki daulat pa kar
aur koi arman nahin hai

jaan-o-dil ya din-o-iman
kya tum par qurban nahin hai

dur rakha qadmon se 'shifa' ko
ye to karam ki shan nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close