jine ka lutf zist ka hasil nahin raha wo walwale nahin rahe wo dil nahin raha hangama-zar-e-shauq hai ya mahshar-e-alam tufan-e-iztirab hai wo dil nahin raha saqi ki ek hi nigah-e-iltifat mein mushkil hamara uqda-e-mushkil nahin raha yaadash-ba-khair hasil-e-kaunain tha jo dil chhut kar kisi se ab kisi qabil nahin raha mahfil se uth gae meri hairat ke aaine ab aaine ke koi muqabil nahin raha 'makhfi' qaza ne rah mein hum ko mita diya andesha-e-daraazi-e-manzil nahin raha