jine ke liye jo mar rahe hain aaghaz-e-hayat kar rahe hain hai husn ka nam muft badnam log apni talab mein mar rahe hain ghunchon ki tarah khile the kuchh log kirnon ki tarah bikhar rahe hain hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjir diwane jidhar guzar rahe hain sunta hun ki aap ke wafadar anjam-e-wafa se dar rahe hain sahil ko bhi chhodte nahin log kashti pe bhi panw dhar rahe hain ab dasht mein narm-rau hawa se kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain ruhon mein nai sahar ke bais zehnon ke nashe utar rahe hain hum jaise tamam nam-lewa dhabba tere nam par rahe hain khushbu se ladi bahaar mein bhi hum dard se bahra-war rahe hain har daur ke fan-shanas 'danish' nakaam-e-husul-e-zar rahe hain