jinko malum nahin pir-parai kya hai

jin ko malum nahin pir-parai kya hai
khak samjhenge mohabbat mein judai kya hai

chand khat aur kai sukhe hue gul-daste
ek aashiq ko bhala aur kamai kya hai

hum to donon hi amiron ki tarah dete hain
hum faqiron ko dua aur duhai kya hai

ba-khuda hum se mohabbat ke marizon ke liye
un ke didar se behtar bhi dawai kya hai

nam sunte hi mohabbat ka khuda yaad aaya
tum ne bhi meri tarah khub nibhai kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close