jis dil mein ho josh jawani ka pahlu mein wo ek pal kya thahre jab dil hi nahin ho qabu mein to sine pe aanchal kya thahre hota hai jab surkhi ka asar ud jata hai rang siyahi ka jis aankh mein lali daud gai us aankh mein kajal kya thahre shishe mein dekh wo apni ada jab shokh hasina sharmae aise mein pasina aa jae to mang pe sandal kya thahre ho lakh bhi zulfon ka saya chehra wo magar kab chhupta hai jab chand chamakne par aae to samne baadal kya thahre rasta chalna ithlana khud panw se panw ka takrana jab chaal ho aisi matawali to panw mein pael kya thahre