jis ghadi rah-e-pur-khar main ne chuni sath us ne bhi azm-e-safar kar liya subh suraj nikalne se pahle chale, jis jagah ho gai raat ghar kar liya dam-ba-dam ek diwar uthti gai ek chhuri mera sina khurachti gai jaise jaise ghutan shahar ki badh chali main ne dil mein naya ek dar kar liya ek sada mere kanon mein aati rahi ek bala nam le kar bulati rahi mud ke dekha na main ne kabhi kabhi main jau jo safar kiya be-khatar kar liya zindagi apni guzri hai dukh bantte, badh kanton ki har har qadam chhantte hijr ki fasl palkon tale katte jo bhi koh-e-giran tha wo sar kar liya un ke aane ki phaili khabar chaar-su aaine mah jabinon ke hain ru-ba-ru main ne bhi un ke chehre pe dali nazar raushni ko asir-e-nazar kar liya log aate hain mera pata puchhte mere sheron ko padh kar tujhe dhundte tujh pe mere sukhan ka na jadu chala main ne duniya duniya ko asar kar liya hasidon ke main tanon ka sunta raha, reza reza wajud apna chinta raha barish-e-sang mein bhi na pichhe hata, main ne us dil ko patthar ka ghar kar liya gum-shuda raston ka pata hath mein, biti yaadon ka basta liye sath mein main ne sahra ko apna taaruf kiya aur qalam apna dast-e-hunar kar liya main ne khud ko mahlon mein banta nahin, main ne khanon mein logon ko chhanta nahin mujh ko dad-e-sukhan se gharaz ab nahin main ne harf-e-sukhan mo'atabar kar liya umr badhti gai jun jun man-bap ki, aamad-o-raft mahdud hoti gai baithe baithe dar-o-baam takte rahe bolna-chaalna mukhtasar kar liya dhire dhire chattanen pighalti rahin qatra qatra samundar nigalti rahin wo jo aansu na dhalka kabhi gal par, us ko dil ke sadaf ne guhar kar liya bap ki dant bhi mujh ko aisi mili jaise man ki mohabbat ki misri dali qufl dil ki tijori ko main ne kiya aur mahfuz ye mal-o-zar kar liya mausamon ke ghazab se bachate hue, apni bahon ka halqa banate hue dukh uthae jahan meri man ne bahut, apne aangan ka pauda shajar kar liya main ne bachpan guzara hai apna yahan us ke sae mein pal kar hua main jawan kaise bhulun main 'khusraw' ye kachcha makan, us makan ne mere dil mein ghar kar liya