jis gulistan mein basun main wahi virana bane barq laute wahin jis ja mera kashana bane tujh se kaam itna to ai himmat-e-mardana bane barq lauti hai jahan phir wahin kashana bane hum to mit kar bhi na khisht-e-khum-e-mai-khana bane hum se khak achchhi hai jis khak se paimana bane aashna ho wo tera sab se jo begana bane hosh usi ke hain baja jo tera diwana bane tere hathon se agar sham-e-lahad ho raushan ud ke har zarra meri qabr ka parwana bane shoala-e-husn ki yun sair kahan sab ko nasib qismat us khak ki jis khak se parwana bane dil shikaston ko bhi hai mahfil-e-saqi mein jagah tut bhi jae agar shisha to paimana bane ai tasawwur hai nihan shan-e-sulaiman tujh mein tu agar chahe to ghar mera pari-khana bane 'shaeq' is bazm mein hum surat-e-taswir hain chup kya karen baat jahan baat ka afsana bane