jis ka hona mera hona banta hai wo duniya ke aage bauna banta hai hum to farz nibhate hain majburi ka hansne ki buniyaad khilauna banta hai jis mein apne panw bhigo le wo ek bar us dariya ka pani sona banta hai khamoshi izhaar mein dhal kar baat bani hone ki buniyaad na hona banta hai umron ki mazduri lagti hai is par lamhon mein to waqt ka kona banta hai main dushman ki maut pe kaise raqs karun mera to is dukh mein rona banta hai pahle us ko bagh salami deta hai baad mein har ek phul bichhauna banta hai is parcham mein badbu hai ghaddari ki is parcham ko khun se dhona banta hai auron ka to bar-e-garan hai man liya apna apna bojh to dhona banta hai us ka jism nowember ka khurshid 'munir' us paikar ki dhup mein sona banta hai