jis ka koi na ho khuda hoga jis ka wo bhi na ho to kya hoga hasil-e-marg aur kya hoga ek nae gham ka silsila hoga aap munh pher ke hue rukhsat ye na socha ki mera kya hoga jis ne di hai tumhein dua-e-ishq koi mujh sa hi dil-jala hoga lakh sochun na kah sakunga kuchh jab kabhi un ka samna hoga main ne kya kya kaha hai qasid se jaane qasid ne kya kaha hoga