jis ki jo hai talab tamasha hai ye bhi kitna ajab tamasha hai aankh iman lai manzar par dil ye kahta hai sab tamasha hai main ne duniya ke rang dekhe hain mere aage ye sab tamasha hai dekhte hain jo hum kisi ki taraf dekhne ka sabab tamasha hai wo bhi dikhlae jo ki hai hi nahin teri duniya ajab tamasha hai la-makan se ye dahr tak ka safar tab tamasha tha ab tamasha hai jo tha jina adan mein ji aae zindagi kya hai ab tamasha hai bab-e-alam mein kun kaha pahle phir kaha zer-e-lab tamasha hai kyon sar-e-tur dekhne jaen tere jaisa wo kab tamasha hai kyon na aakhir hon tujh se dad-talab hum ko karna hi jab tamasha hai sochiye to tamasha-e-hasti kis qadar be-sabab tamasha hai ma-siwa did jis mein tu ho faqat baqi jo kuchh hai sab tamasha hai parda-dari se kaam kya lije 'shams' hona hi jab tamasha hai