jis ko hum samajhte the umr bhar ka rishta hai ab wo rabta jaise rahguzar ka rishta hai subh tak ye maujen bhi thak ke so hi jaengi chand ka samundar hai raat bhar ka rishta hai ye jo itne sare dil sath hi dhadakte hain kuchh qalam ka nata hai kuchh hunar ka rishta hai tez hain to kya gham hai tund hain to shikwa kya in hawaon se apna baal-o-par ka rishta hai is hasin tasawwur ka meri surkh aankhon se aab o gil ka nata hai baam-o-dar ka rishta hai ek na-tawan rishta us se ab bhi baqi hai jis tarah duaon ka aur asar ka rishta hai