jis ko kahte hain qaza ya maut jis ka nam hai waqai wo daimi rahat ka ek paigham hai iltizam-e-chaarasazi ek khayal-e-kham hai chaaragar mere liye taklif mein aaram hai uf re ye beganagi hamdard ho to kaun ho ek dil tha wo bhi sarf-e-kasrat-e-alam hai arsa-e-rafta pe nazren pad rahi hain wahm ki khwab ki taswir hai ya zindagi ki sham hai apni hasti ka bhi ab aata nahin mujh ko yaqin al-hazar kaisa junun-e-shauq ka anjam hai ye haqiqat hai ki donon fitratan masum hain pak-daman husn bhi hai ishq bhi khush-nam hai dekhte hi ruh mein ek kaifiyat si aa gai saqiya kya baada-e-rangin ka pyara jam hai ab to 'faiq' aur bhi mushkil se kuchh katne lagi ishq bhi taskin-e-khatir ke liye nakaam hai