jis mein na khushi ho wo mohabbat nahin achchhi kulfat se jo khali ho wo rahat nahin achchhi kahta hai hasinon ki mohabbat nahin achchhi aur naseh-e-kam-fahm ye aadat nahin achchhi tum par jo na aa jae to wo dil nahin achchha tum par jo na mail ho tabiat nahin achchhi be-dil liye dete ho jo tum ghairon ko bose nuqsan hai is mein ye murawwat nahin achchhi dilwaen mujhe galiyan ghairon se sar-e-bazm o shokh ye dar-parda shararat nahin achchhi diwane nahin hum jo giraftar-e-bala hon waqif hain ki in zulfon ki ulfat nahin achchhi 'sabir' ne sar-e-bazm jo chheda to wo bole kambakht yahi to teri aadat nahin achchhi 'sabir' shajar-e-khushk se ummid-e-samar kya jo faiz se khali ho wo khidmat nahin achchhi