jis ne dekha wo ho gaya us ka kaun batlae ab pata us ka zindagi bhar ye justuju hi rahi kaun tha apna kaun tha us ka ho gaya budha wo gharib aakhir aaj tak ghar na ban saka us ka us ki thane mein jeb khali thi bas yahi ek jurm tha us ka tai kare hai safar wo auron ka kaun rokega rasta us ka jaane kya us ne likh diya ho mujhe is liye khat na padh saka us ka nazar aa kar bhi wo na aae nazar waise didar har jagah us ka