jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi
mere aawara khayalat ki bijli hogi

le udi hai tere hathon ki hina pichhle pahar
mere uljhe hue afkar ki aandhi hogi

jitni mil jaegi kanton ki chubhan le lunga
jo bhi haalat dil-e-be-tab ki hogi hogi

hum na manenge khamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi

meri na-kaami-e-haalat ke dhaare ke siwa
ek naddi bhi to be-ab na bahti hogi

hai 'raza' aaj ka aalam to asir-e-ibham
yar zinda hain to kal aur taraqqi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close