jis ne teri aankhon mein shararat nahin dekhi

jis ne teri aankhon mein shararat nahin dekhi
wo lakh kahe us ne mohabbat nahin dekhi

ek rup mere khwab mein lahra sa gaya tha
phir dil mein koi chiz salamat nahin dekhi

aaina tujhe dekh ke gulnar hua tha
shayad teri aankhon ne wo rangat nahin dekhi

yun naqsh hua aankh ki putli pe wo chehra
phir hum ne kisi aur ki surat nahin dekhi

khairaat kiya wo bhi jo maujud nahin tha
tu ne tahi-daston ki sakhawat nahin dekhi

sad-shukr guzari hai qayamat tan-e-tanha
us raat kisi ne meri haalat nahin dekhi

kya tujh se kahen kaise kati kaise kategi
achchha hai ki tu ne ye musibat nahin dekhi

shayad isi bais wo firozan hai abhi tak
suraj ne kabhi raat ki zulmat nahin dekhi

sab ki tarah tu ne bhi mere aib nikale
tu ne bhi khudaya meri niyyat nahin dekhi

tinka hun magar sail ke raste mein khada hun
ai bhagne walo meri himmat nahin dekhi

jo than liya dil mein wo kar guzra hun 'shahzad'
aai hui sar par koi aafat nahin dekhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close