jis tarah jhil ke pani mein sukun tairta hai meri aankhon mein tera aks bhi yun tairta hai yun milun tujh se ki kuchh der mein tujh sa ho jaun gir ke dariya mein zara der hi khun tairta hai jab bhi aawaz lagata hun ki tu hai ya nahin mere andar teri aawaz mein hun tairta hai josh mein aa to gaya hijr ke samundar tak dekhna hai ki kahan tak ye junun tairta hai dil teri yaad ke dariya se nikalta hi nahin khinch leti hai tah-e-ab ye jun tairta hai kya hua aql thikane pe aa gai pyare dubne ke liye kuda hai to kyun tairta hai