jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai jinhen be-khudi-e-fana mili unhen zindagi ki khabar bhi hai tere ahl-e-did ko dekh ke kabhi khul saka hai ye raaz bhi unhen jis ne ahl-e-nazar kiya wo tera kharab-e-nazar bhi hai ye visal-o-hijr ki bahs kya ki ajib chiz hai ishq bhi tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang-e-zakhm-e-jigar bhi hai ye nasib-e-ishq ki gardishen ki zaman makan se guzar ke bhi wahi aasman wahi sham-e-gham wahi sham-e-gham ki sahar bhi hai tere kaif-e-husn ki jaan hai meri be-dili-o-fasurdagi jise kahte hain gham-e-raegan wo liye hue kuchh asar bhi hai na raha hayat ki manzilon mein wo farq-e-naz-o-niyaz bhi ki jahan hai ishq barahna-pa wahin husn khak-basar bhi hai wo gham-e-firaq bhi kat gaya wo malal ishq bhi mit gaya magar aaj bhi tere hath mein wahi aastin hai ki tar bhi hai dam-e-hashr azal ki bhi yaad kar ye zaban kya ye nigah kya jo kisi se aaj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai jo visal-o-hijr se dur hai jo karam sitam se hai be-khabar kuchh utha hua hai wo dard bhi kuchh uthi hui wo nazar bhi hai ye pata hai us ki inayaton ne kharab kitnon ko kar diya ye khabar hai nargis-e-nim-wa ki girah mein fitna-e-shar bhi hai usi sham-e-marg ki tirgi mein hain jalwa-ha-e-hayat bhi unhin zulmaton ke hijab mein ye chamak ye raqs-e-sharar bhi hai wahi dard bhi hai dawa bhi hai wahi maut bhi hai hayat bhi wahi ishq nawak-e-naz hai wahi ishq sina-sipar bhi hai tu zaman makan se guzar bhi ja tu rah-e-adam ko bhi kat le wo sawab ho ki azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai jo gale tak aa ke atak gaya jise talkh-kaam na pi sake wo lahu ka ghunt utar gaya to suna hai shir-o-shakar bhi hai koi ahl-e-dil ko kami nahin magar ahl-e-dil ka ye qaul hai abhi maut bhi nahin mil saki abhi zindagi mein kasar bhi hai badi chiz daulat-o-jah hai badi wusaten hain nasib use magar ahl-e-daulat-o-jah mein kahin aadmi ka guzar bhi hai ye shab-e-daraaz bhi kat gai wo sitare dube wo pau phati sar-e-rah ghaflat-e-khwab se ab utho ki waqt-e-sahar bhi hai jo ulat chuke hain bisat-e-dahr ko agle waqton mein barha wahi aaj gardish-e-bakht hai wahi rang-e-daur-e-qamar bhi hai na gham-e-azab-o-sawab se kabhi chhed fitrat-e-ishq ko jo azal se mast-nigah hai use nek-o-bad ki khabar bhi hai wo tamam shukr-o-raza sahi wo tamam sabr-o-sukun sahi tu hai jis se mail-e-imtihan wo farishta hai to bashar bhi hai na kaho taghaful-e-husn se koi kar-sazi-e-gham kare ki jo aaj gham se nikal gai wo dua kharab asar bhi hai tere gham ki umr-e-daraaz mein kai inqalab hue magar wahi tul-e-sham-e-'firaq' hai wahi intizar-e-sahar bhi hai