jism apna hai koi aur na saya apna jaane is zist se hai kaun sa rishta apna tu ne kis mod pe chhoda tha mujhe umr-e-rawan tak raha hun kai sadiyon se main rasta apna sang-andaz hua shahr-e-sitam-pesha tamam dil liye baitha hai shishe ka gharaunda apna hum rahe bhi to badalte hue mausam ki tarah teri aankhon mein koi aks na thahra apna jog le kar teri khatir liye galiyon galiyon ek mughanni ki tarah dard bhi becha apna ek be-nam talluq bhi ab us ghar se nahin muddaton jis mein raha tha kabhi charcha apna ek tera gham tha ba-har-rang jo shadab raha is shajar ne na giraya koi patta apna dil ki diwaron pe ye rang-e-shab-e-tar to dekh hadisa chhod gaya hai koi saya apna ai gham-e-khak-shuda jag ba-rang-e-ashaar teri mitti mein milata hun main sona apna kitne asnam tarashe hain teri surat ke jhank kar dekhe zara mujh mein sarapa apna