jism baqi hai jaan khali hai aadmi se makan khali hai barf mein qaid dhup ke panchhi par salamat udan khali hai baam-o-dar ki faza hai barfili chand se aasman khali hai nok-e-shamshir likh rahi hai kitab har qalam ki dukan khali hai ab kisi aankh mein nahin shokhi tir se har kaman khali hai be-suri bansuri kanhaiya ki dard ki lai se tan khali hai ek se ek log hain 'hami' ye na samjho jahan khali hai