jism KHamosh si taswir hua jata hai

jism khamosh si taswir hua jata hai
ab tera hijr le tamir hua jata hai

rabt jab ek ki taqdir se ho jae to phir
kya kisi aur ki taqdir hua jata hai

rukh ukere hue mazi ki kahani ke nuqush
ab gham-e-hijr ki tashhir hua jata hai

aks ubhre shab-e-furqat mein jo diwaron par
waqt mere liye shamshir hua jata hai

tu bhi ab dekh le is sabr ke daman ko samet
zabt mera bhi ab aakhir hua jata hai

us ne jaane ka kaha main ne bhi roka hi nahin
kya kabhi panw ki zanjir hua jata hai

hae ghazlen teri dil chir ke rakh dengi 'shahab'
chand arse mein kahan 'mir' hua jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close