jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna mere suraj ne bhi baadal ka labaada pahna silwaten hain mere chehre pe to hairat kyun hai zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna khwahishen yun hi barahna hon to jal-bujhti hain apni chahat ko kabhi koi irada pahna yar khush hain ki unhen jama-e-ehram mila log hanste hain ki qamat se ziyaada pahna yar-e-paiman-shikan aae agar ab ke to use koi zanjir-e-wafa ai shab-e-wada pahna ghairat-e-ishq to mane thi magar main ne 'faraaz' dost ka tauq sar-e-mahfil-e-ada pahna