jitna chahungi tum wahan tak ho ab batao ki tum kahan tak ho na-rasai hi jag-hansai hai han rasai ki tum kaman tak ho baat achchhi bhi hai magar phir bhi is budhape mein tum jawan tak ho apni mauj-e-hawas ke arse mein tuti kashti ke baadban tak ho aaj ke daur mein makan kaisa aasmanon ke aasman tak ho apni hasti mein bad-gumani thi sans mein sans ke guman tak ho umr ka hadisa shajar kya tha ek kali ho to baghban tak ho bad-gumani ka dol-dal ke dekh arsh par tum faqat ziyan tak ho mawara hai yahan na ma-siwa ko tum jo baqi ho bas guman tak ho