jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna shahr mein phaili virani ko sab virani kahte waqt guzarta jata aur ye zakhm hare rahte to badi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte wo to shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna hum bhi patthar marte tujh ko aur diwani kahte tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise aaine ko dekh ke ek taswir purani kahte tera lahja apnaya ab dil mein hasrat si hai apni koi baat kabhi to apni zabani kahte chup rah kar izhaar kiya hai kah sakte to 'anas' ek alahida tarz-e-sukhan ka tujh ko bani kahte