jo ain wasl mein aaram se nahin waqif wo matlab-e-dil-e-khud-kaam se nahin waqif hansa chaman mein jo dil dekh surat-e-sayyaad ye murgh dane se aur dam se nahin waqif tamam shahr mein jis ke liye hue bad-nam wo ab talak bhi mere nam se nahin waqif har ek ishq ke kab qaede se mahram hai hanuz shaikh alif lam se nahin waqif hazar haif yahan chhat se lag gain aankhen wahan wo shokh lab-e-baam se nahin waqif dila abas talab-e-bosa hai tujhe us se wo lal-e-lab ki lab-e-jam se nahin waqif saji hai lek use zar kulah guzri ki faqir atlas-o-pilam se nahin waqif tapish se dil ki khabar howe hai yahan malum main tarz-e-nama-o-paigham se nahin waqif na khush visal mein ho rakh tu yaad-e-hijr 'nasir' magar tu gardish-e-ayyam se nahin waqif