jo baat rahe dil mein wahi baat badi hai ulfat ka taqaza bhi yahi kam-sukhani hai saqi teri aankhon mein hain do-jam chhalakte mai-khane ki masti teri aankhon mein bhari hai fankar ne jab apna qalam gham mein duboya tab ja ke tere husn ki taswir bani hai jab chaha tujhe dekh liya jaan-e-tamanna gham-khana-e-dil mein teri taswir judi hai kyon subh nahin hoti meri sham-e-alam ki kyon zist meri maut ke sanche mein dhali hai jis waqt nazar aaya teri zulf ka saya us waqt kaha dil ne yahan chhanw ghani hai tauhin na kar is ki ise kah le mai-e-nab naseh mere saghar mein to shishe ki pari hai ye waqt-e-jawani hai ganwa is ko na 'hamdam' nadan ibarat ke liye umr padi hai