jo bhi hai hasb-e-haal khinchenge us ka naqsha kamal khinchenge chutki kategi wo shararat se aur hum us ke baal khinchenge tujh ko mujh se milane wale log donon jaanib se mal khinchenge yar lamhon mein samne hoga is tarah mah-o-sal khinchenge bharne wala hai ye mohabbat se waqt par apna jal khinchenge koi cigarette maza na dega to phir capstan pal mall khinchenge dene honge jawab aakhir-kar tujh ko mere sawal khinchenge zakhm ghurbat ke sab raqam kar ke karb-e-qaht-ur-rijal khinchenge aakhir aana padega mere liye tujh ko mere khayal khinchenge gar ye mumkin hua to apni taraf ek do khush-khisal khinchenge itne bigde hain dar nahin baqi kya bade apne gal khinchenge meri ghurbat milegi wirse mein is ko mere ayal khinchenge tod den dor hijr ki 'abid' kab talak ye wabaal khinchenge