jo bhi tha khatm ho gaya mujh mein yani main bhi nahin raha mujh mein koi dar band kar gaya mera koi ghut ghut ke mar gaya mujh mein kyon hai ab tu khamosh kyon hai bata dhundne wale kya mila mujh mein mar chuka hun main ek muddat se ab koi aur ji raha mujh mein shab koi mujh mein aa ke roya khub aur phir thak ke so gaya mujh mein